Blog Me Contact Us Page Kaise Lagaye


Blog ke liye Contact us Page Kaise bnaye

Contact Us Page Kyu Jaruri hai

कॉन्टेक्ट अस पेज क्यों जरूरी है

Dear readers agar aap ne abhi abhi blogging suru ki hai. Toh ye Article Aap ke liye hi hai. Aap Ko ise dhyaan se padhna chahiye. Apne blog bna liya hai. Aur blogging suru kr di hai . Blog se hamara yhi maksad hota hai ki hum logo Ki Help bhi kre aur paisa bhi kmaye.

Aap ne blog bna kr acche acche article likh kr logo Ki Help krna toh suru kr diya but aapko paise kamane ke liye apne blog per kuch ads lagane hote hai. In ads se hi Hamari income hoti hai. Ye ads Hume Googal AdSense se milte hai. But Googal AdSense ki policy hai ki vo apne ads un blog (website) ko hi deti hai. Jinke blog me 4-5 pages bne ho.

1. Privacy & Policy 


2.Terms & Conditions


3. Disclaimer 


4. Contact Us

Contact us ke bare me aap pad rhe hai

Agar aap ke blog me ye Pages nhi hai toh Googal AdSense apne ads aapko apne blog per lagane ke liye nhi dega. Agar aapne Google Adsense ka from bhar kr AdSense ke liye apply bhi kr diya toh Aap ka AdSense kabhi Aprove nhi hoga. Kyuki AdSense apne ads Dene se pehle in pages Ko acchi trah se checks krta hai. Uske bad hi Googal adsence Aprove krta hai.

Kya hai Contact Us Page

क्या है कांटेक्ट अस पेज

Contact us page me hume apne bare me btana padta hai. Ki agar koi visitor humari website se sumbandit kuch puchna ya btana chahta hai ya use koi problem hai toh vo hum se kaise contact kr skta hai. Isse visitors Hum se Jude rehte hai. Jo visitors aapki Website per visit krte hai aur hamari website Ko pasand krte hai. Vo hamre bare me bhi janne ki iccha rekhte hai. Vo hamare bare me Janna cahege ki jis Website per mai daily visit krta hu uska owner kon hai kaisa hai.


But agar aapki Website per contact us page nhi bna hai. Toh vo bhut nirash hote hai kyu ki vo hamare bare me kuch Jaan nhi pate hai aur na hi hum se contact kr paate hai. Aise me kya hota hai ki vo visitors nirash ho kr hamari website per visit krna band kr dete hai. Isse hamre page view kam ho jayege aur hamari website ki ranking bhi kharab ho jayegi. Jo hamri website ke liye bilkul bhi accha nhi hai. Is Liye contact us page Hamri website ke liye bhut Jaruri ho jata hai. 

Kaise Lagaye Blog Me Contact Us Page

Step by step mai Aap Ko btauga

ki kaise bolg me contact us page lagate hai.

Step 1:- sabse pehle Aap is http://www.foxyform.com per jye. Ye Website free Me Contact Us page bna kr Hume deti hai. 

Step2:- Ab Name , Email aur Subject select kre le.  


Step 3:- ab Aap Ko Advance Setting me colours , fonts aur background select krna hai.  Meri Mano toh ise Aise hi rehne do. 


Step 4:- Apna Email dale. I am not a Robert per click kre. Fir captcha ki security challenge Ko pura kre.


Sabhi pic Ko acche se dekh kr select kre.
  Fir Create formalar per click kre

Step5:- ab ek box me code diye hoge ye cod copy kr le. Aise hi.

Step 6:- Ab Apne blog<<Dashboard<<Pages me jye new page per click kre 

Sabse pehle tital me Contact Us likhe.
Fir Copy kiya hua code paste kr de Aur publish per click kr de.

Ab Aap ka contact us page bna gya hai. Ise Aap apne blog ke pages me ja kr dekh skte hai. Ab Aap acche se samjh gye hoge ki contact us page blog me kaise lagaya jata hai aur ye hamare blog ke liye kyu Jaruri hai. Agar fir bhi koi problem aye contact us page Ko Blog me lagane me toh Aap hum se comments krke puch skte hai. 

ये भी पढ़ें:-

Post a Comment

1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।

Previous Post Next Post