Blog Ki Traffic Kaise badaye Latest Tip's


Blog ki traffic kaise bdaye
  
Ek Bloger ki hamesha yahi khosish rehti hai ki apne blog ki traffic kis Trah se bdaya jye. Bina traffic ke blog waise hi lagta hai jaise bina Namak ke Sabji. Che Aap passion ke liye blogging krte hai ya fir paise kamane ke liye blogging me maja tabhi aata hai jab hamare pass decent traffic hoga.

Jo new blogger hote hai unhe apne blog per traffic lane ke liye bhut Struggle krna padta hai. Kai new blogger toh apne blog per traffic lane me nakamyab ho kr blogging krna hi chord dete hai. Isi bat Ko tyaan me rakh kr Maine ye Article likha hai. Mai aaj Aap kuch Latest And Working tips btauga junko use krke aap asaani se apne blog per traffic lane me kamyab hoge.

1. Update your blog Daily

Aap apne blog Ko daily update kre. Matlab Aap daily ek new post likhe aur publish kriye. New post k Sath Aap apne blog ke purane posts Ko Update kre. Ye ek bhut accha tarika hai apne blog per traffic badane ka. Logo Ko aisa hi blog pasand aata hai jo roj update hota hai. is trah se Aap apne Reader se connect rehte hai. Agar aap apne Blog Ko roj update nhi kr skte toh kam se kam 2 din me toh jarur kre.

Read More :-
Blog Ki Traffic Bdane Ka Bilkul Aasan Tarika

2 Write Quality Content

Agar aap ek Successful Bloger banana chahte hai toh aapko Quality Content likhna hi padega. Quality Content ka matlab ye hai ki Aap ka Content Readers ke liye useful hona chahiye. Aap ne Jo likha hai usse Readers Ko kuch shikhne Ko Mile. Aap ke likhne ka tarika aisa hona chahiye ki Readers Ko asaani se samjh me aa jye.

Aap apne Article kuch aisa likhe ki jab Readers ek line pade toh use dusri line padne ki iccha man me ho. Aap apna Article kam se kam 700 se 800 Words ke beech me likhe. Isse kam me na likhe.  Aap ka Article jinta Lamba hoga mtalb jinte jyda words hoge. Utna hi Aap ka fayda hoga.

3. Promote your Blog on Social media

Jab hamara blog new hota hai. Search Engines me hamara blog index nhi hota hai. Jisse blog Ko traffic nhi milti hai. Ise me Aap social media ka Sahara le skte hai jaise Facebook, Google+ Aur Twitter. In sabhi social media per apna Account Bnaye aur apne Blog Ki Link Share kre. Iise Aap Ko traffic badane me bhut help milegi.

4. Make your Blog Responsive And Attractive

Aap Ko apne blog Ko unchaio per le Jana hai toh Aap ke blog ka Responsive aur Attractive hona bhut Jaruri hai. Blog ka design bhi accha rakhna padega. Responsive ka matlab hota hai ki Aap users hamara blog kisi bhi device per khole vo har Device me fit hona chahiye. Jo new blogger hote unhe tab ye pta nhi hota hai.

Ki unka templates Responsive hai ki nhi. Aur vo usi per lage rehte hai. Bina Jane Jo thik nhi hai. Apne blog Ko me Responsive templates lga kr apne blog Ko Responsive Bnaye qki har user alag alag Devices use krte hai. Jaise koi Mobile phone use krta hai koi Laptop aur koi Tablet ka use krta hai. Isliye Aap ke blog ka Responsive hona bhut Jaruri hai. 

5. Blog Ko SEO Friendly Bnaye

Jab hum new new blogging suru krte hai toh Hume SEO ke bare koi Jankari nhi hoti hai. SEO Ko Search Engine Optimisation bolte hai. Blog Ko SEO Friendly bnanne se hamare blog per search Engine se traffic aata hai. Yani search Engine Me hamare blog ki ranking badti hai.

Seo me sab se main hai Link building . Jab tak Aap apne blog ko chala rhe hai. Tab tak link building krte rahiye agar aap Ko link building na pta ho toh bta du. Link Building matlab apne blog ka link kisi dusre blog per Add krna. Toh link building se bhi Aap Ko bhut accha traffic milega.

6. Guest Posting 

Guest Posting Blog per traffic lane ka accha tarika jis se Hume traffic bhi milta hai. Aur apne blog ke liye back Link bhi milti hai. Lekin Hindi blogging me Guests posting jyda nhi ki jati hai. Hindi bloggers apne apne blog per hi lge rehte hai. Agar aap Ko kam samay jyda traffic chahiye toh Aap Ko guest Posting ka Sahara Lena chahiye.

7. Make your Blog Fast Loading

Apne blog Ko fast Loading Bnaye. Aap ka blog kam se kam Time me laod hona chahiye. Koi bhi visitors jyada loading time wala blog nhi pasand krte. Har kisi ke pass 3G internet nhi hota hai. Abhi Kai users 2G hi use krte hai. Aise me Aap.ka blog 2 G per bhi jaldi khulne wala hona chahiye toh hi visitors Aap ke blog per daily visit krege.  Loading Speed Maintained rakhne ke liye us per jayda ads use na kre. Agar aap jayda ads lga kr rakhte hai toh Aap ka Blog load hone me kafi samay lagega. 

8. Link Internal Pages

Internal pages linking means aapne posts Ko dusre se link kariye. Suppose aapne internet ke bare me kuch posts Pehle hi likhi hai. Aur ab Aap internet ke bare me koi new post likh rhe hai. Toh new post me Old posts ki links add kariye is se visitors Aap ke site par jayda time spend karega aur aapko blog ki ranking badegi.

9. Add Social Sharing Buttons 

Apne blog posts ke niche social Sharing Buttons add kariye jis se user aapnke posts social media per share kr ske. Aisa krne se aap ke blog per Social media se traffic aayega aur aapka blog social media par famous ho jayega. Agar aap ka blog WordPress per hai toh Aap easily Shareaholic is plug in Ko Install karke aapne blog per Social Sharing Buttons Enable kar sakte hai. 

10. Visitors Ki Pasand ki post

Jab theere theere Aap.la blog Purana hota chala jata hai toh Aap ke blog per traffic aane lagta hai. Jab traffic aana suru ho jata hai toh comment bhi aane lagte hai. Comments me users Aap se swal puchuge vo Jo puchte hai usi topic per aap posts likhe agar aapne pehle hinus topic per post likha hai toh us post ki link Ko user's Ko send kre isse ye hoga ki jo users chahta hai uski vo milega. Aur Aap ki traffic badti jayegi.

11. Facebook Page Aur Group Bna kr

 Facebook per page bna kr apne blog ki posts Facebook page per share kre. Facebook Fan Page ka Widget apne blog per bhi lgaye. Isse ek toh Aap ke page like badege. Aur dusra jab Aap apne page per new post daloge toh un Sabhi logo Ko vo post dikhega jinhno ne Aap ka page like kiya hoga. 


Dosto agar aap kam samay me jayda traffic pana chahte hai. Toh uper btaye hue latest tips Ko aapnaye. Kyuki agar aap ek Successful  blogger bannana chahte hai toh Aap Ko Serious ho kar blogging krna padega. apne blog ki promotion per bhi aapko jayda se jayda kam krna padega. Thank you Friends keep visiting.

Also Read :-
Top 13 App's Jo Blogging Ko Bna de Aasaan

Post a Comment

1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।

Previous Post Next Post