Blog Me Coustm Domain Kaise Set Kre


Blog-me-coustm-domain-Ko-kaise-set-kre

Blogger Me Coustm Domain Kaise Set Kre

Hello Dosto aaj mai aap Ko Custom Domain  ke bare btane ja rha hu. Jab Bloger per apna blog banate hai toh hamare blog ke sath sub domain blogspot.com lga hota hai. Is sub domain Ko hta kr hum apna man pasand domain lga skte hai. Coustm domain ke bhut faiyede hai. Google ki policy ke according hum sub domain ke sath Adesence ke liye apply nhi kr skte hai.

Adsense ke liye hamare blog ke sath coustm domain lga hona chahiye. Coustm domain lagane se humara blog ek professional website ki tarah dikhne lagta hai. Jisse visitors Akrshit hote hai. Aur agar hum baat kre SEO ki toh coustm domain aur bhi jaruri ho Jata hai. sub domain ke mukable coustom se hamara blog Google me bhut jaldi index hota hai.

Toh agar aap bhi apne pasand Domain lga kr apne blog Ko professional website bnana chahte hai toh iske liye Sabse pehle aap Ko ek domain buy krna padega. Ye domain Godada ye bigrock se buy kr skte hai. Domain aapko Rs. 99 se lekar Rs.1500 ya usse bhi jyda ke hai. Aap apne budget ke hisab se apna domain buy kr le.

Domain buy krna bhut aasan hai. Goddady hindi me bhi support krta hai. agar aapko goddady se domain buy krne me koi problem aati hai toh aap Godaday ke coustmer care se bhi bat kr skte hai vo aapki hindi aur English dono me puri help krege. Aap domain ki payment debit card, credit card, net banking aur Paytm se bhi kr skte hai . 

Toh Ab hum man lete hai ki aap ne domain buy kr liye hai. Ab Bari aati hai ise apne blog me me set-up krne ki. Coustom domain Ko blog me set krna ek Lamba process hai.  Isliye aap  niche btaye gye step Ko bhut dhyaan se pade chaliye Suru krte hai. 

Step1:- 

Sabse pehle aap apne blog me jaye.
Setting me jaye . Basic per click kre. + Set up third party URL for your blog per click kre. Niche pic dekhe

Blog me coustm domain kaise set kre

Step2:- 

Ab aap isme apna domain name bhariye www lga kr. Aur save per click kr de.

Blog me coustom domain kaise set kre

Step3:-       Ab aapke samne ek Aisa page open hoga ise aise hi khua rehne de. Ise bad me save krna hai. 

 Step4:-  Ab apne Jha se Domain buy Kiya hai. Us ke Account me login kre .login krne ke bad Manage per click kre 

Step 5:- Ab aap jis domain Ko set krna chahte hai. Us domain Ko select kro.

Blog me coustm domain kaise set kre

Step6:- Ab aap DNS Zone file Select kre.

Step 7:-   Ab aap  Ko Add Record per click krna hai.


Step8:-  Add Record per click krne ke bad aap ke samne ek Aisa pop-up page khulega niche pic me dekho
1.Sabse pehle aap CNAME (Ailas)  select kre. 
2.     blogger me jye aur waha se pehla CHAME copy kr le. 
3.  Fir host me www fill kre.
4. Points to me ghs.google.com fill kre.
5. TTL me kuch na kre 1 hour likha hoga use Aisa hi likha rehne de.
6. Ab Add another per click kar dijiye.

Step9:-  add another per click krne se se fir yhi popup page open ho jayega.

Jaise uper humane pehla CNAME fill Kiya tha usi tarah ab dusra CHAME fill krna hai.

1. CNAME (Alias) Select kr.

2. Ab Bloger me jye aur left side wala CNAME copy kr le .

3. Ab ise host me paste kr de.

4. Ab fir blogger me jye. aur right side wala CNAME Ko copy kr le.

5. Ab ise points to me paste kr de.

6. TTL me kuch na likhe jaisa hai waisa hi rehne de.

7. Ab Finish per Click kr de.


Step9:-   finish per click krne se aap ke samne ek Aisa window open hoga. Yha aapko save changes per click krna hai.


Host me @ likhe aur points to me ip address likhna hai. Ye IP address 4 hote hai. In 4 IP Ko ek ek krke 4 bar barn hai. Ye IP niche likhe hai.

216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21

In Charo IPS Ko sabhi Ko Bharna pardta hai. Ye Sabi blogger ke liye same hote hai.

Mai aapko ek IPS bhar kr dikha deta hu. Aap ise follow krke Charo IP Ko fill kr de. Charo IP fill krne ke bad aap finish per click kr de.
Finish per click krne ke bad aapki Zone file kuch is tarah se dikhai degi. Ab aapka CNAME aur A Record successfully add ho gya. Is Record Ko kabhi kabhi update hone me time lg Jata hai. 12-24 hours isliye agar aapko aapke blog per kuch error dikhne toh tension na le thorda Waite kre.

Step11:- ab apne blog me jye Jo tab ab tak aapne open kr ke rakha tha use save per click kr de. Save per Click krne se aap Ko kuch is tarah se dikhai dega. Isme aap Edit per click kre.
Blog me coustm domain Ko kaise add kre
 Step12:-  Ab aap Ko apne pehla wale blog name Ko new wale blog per redirect krna hai. Redirect krna ke iske samne ek chota SA box bna hoga aap us box per mark kr de. Iske bad save per click kr de.

Coustom domain Ko blog me kaise add kre
Ab aap ka Coustm Domain Successfully set ho gya hai.. Ab isse ek bar check kr. Dosto aapko ye jankari kaisi lgi. Hume jarur btaye aur ise share krna na bhule. Thanku..

Read More :-

Google analytics Per Account Kaise Bnaye

Blog Me Facebook Fan Page Box Kaise Lagaye

Google Tags Manager Se blog Ki traffic Ko boost Kaise Kre

Blog banane se Lekar Earnings Krne Tak Ki Puri Jaankari

Google Keywords Planner se Keywords Kaise Search Kre

Post a Comment

1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।

Previous Post Next Post